SAIBABA AARTI


Inspired by the web site of
SAI BABA

Click here to go back to main page!

Shirdi Sai Baba Ki Aarti -
(To be sung in the tune of "Om Jai Jagdeesh Hare")

Verse 1:
Om Shri Sai Hare,
Baba Jai Shri Sai Hare
Bhakt Jano Ke Sankat.... Bhakt Jano Ke Sankat
Pal Me Haran Kare
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 2:
Solah Varsh ke Aayu Mein, Shirdi Mein Prakat Huye
Baba, Shirdi Mein Prakat Huye
Aisi Leela Dikhai ....Aisi Leela Dikhai
Drusht Bhi Sharan Bhaye
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 3:
Saare Jagat Ke Malik, Tum Hi Ho Bharata
Baba, Tum Hi Ho Bharata
Bin Aagyaa Ke Tumhare....Bin Aagyaa Ke Tumhare
Kuch Bhi Nahi Paata
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 4:
Ram Kaho, Chahe Shyam Kaho Sab Hai Ek Hi Naam
Baba, Sab Hai Ek Hi Naam
Prem Se Chaho Jo Bhi Kaho....Prem Se Chaho Jo Bhi Kaho
Sab Mein Hai Sai Ram
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 5:
Yogan Se Sai , Dhuni Prakat Kiye
Baba, Dhuni Prakat Kiye
Us Dhuni Ke Bhasma Se....Us Dhuni Ke Bhasma Se
Kashto Ko Door Kare
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 6:
Teerth Karen Ki Iccha, Ghanu ke man mein bhaye
Baba, Ghanu ke man mein bhaye
Ganga Jammuna ki Dhaara....Ganga Jammuna ki Dhaara Charano Se Prakat Huye
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 7:
Dhanya Bhagya Bootie ke, Jis Wadi Mein Vaas Kiya
Baba, Jis Wadi Mein Vaas Kiya
Nitya Naye Naye Bhakton ke....Nitya Naye Naye Bhakton ke
Beda Paar Kiya
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 8:
Paani Ke Deep Jala Kar, Chamatkar Beetaya
Baba, Chamatkar Beetaya
Druston ke Man me Bhi Bhakti Ka....Druston ke Man me Bhi Bhakti Ka
Bhav Jagaa Diya
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 9:
Tum Ghaat Ghaat ke Vaasi, Sab Ke Ho Daata
Baba, Sab Ke Ho Daata
Naam Le Jo Tumhara...Naam Le Jo Tumhara
Paar Utar Jaata
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 10:
Maata Pita Tum Hamaare, Tumhaare Sharan Aaye
Baba, Tumhaare Sharan Aaye
Darshan Paa Kar Tumhare....Darshan Paa Kar Tumhare
Man Vanchit Phal Paaye
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 11:
Shri Sai Ke Aarti, Jo Nar Prem Se Gaaye
Baba, Jo Nar Prem Se Gaaye
Sukh Sampati Mil Jaaye....Sukh Sampati Mil Jaaye
Kahst Nikal Jaaye
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare

Verse 12:
Om Shri Sai Hare,
Baba Jai Shri Sai Hare
Bhakt Jano Ke Sankat....Bhakt Jano Ke Sankat
Pal Me Haran Kare
Om Shri Sai Hare, Baba Jai Shri Sai Hare
(A Contribution by Mrs. Champa Randeri, Mumbai, India)

CONTRIBUTED ARTICLE: Now, The hard way! A Poem
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sai, I know, You being by my side
I have nothing to hide

You taught me simple things
To have Faith and be Patient
But, I did not

And to Love
To share, care and be fair
Yet, I did ignore

You asked me to Give
And promised to Take ten or even hundred fold
But remained blindfold

Now, only way is the hard way
Let me keep everything else at bay

Show me the miracle of Your Stick
I am ready to build brick by brick
Show me Your Oil-Lamp's light
So I can bravely fight

Even if it pains
Boil the blood in my veins
Let me go through Your Dhuni
And, let pure gold come out
Along with Your holy Udi

I know, it would be hard on me
But easy on Me

(Contributed by Suresh Raspayle)